اردو हिंदी
Aati hai dam-ba-dam ye sada jagte raho | Shaahi Shayari
aati hai dam-ba-dam ye sada jagte raho

Ghazal

Aati hai dam-ba-dam ye sada jagte raho

Shahzad Ahmad

;

aati hai dam-ba-dam ye sada jagte raho
jaise ki jagta hai KHuda jagte raho

jite raho lahu mein hararat hai jab talak
aankhon mein jab talak hai ziya jagte raho

dariya-e-zindagi ka nahin koi e'tibar
jo so gaya wo Dub gaya jagte raho

bas aaj hi ki shab hai jise zindagi kahen
kal ka nahin kisi ko pata jagte raho

gar so gae to aankh khulegi na hashr tak
ye sar-zamin hai KHwab-faza jagte raho

ye kya ki subh hote hi behosh ho gae
shab zinda-dar ho to sada jagte raho

phir aa gai hai raat sitare liye hue
suraj chhupa charag jala jagte raho

phir koi qafila hua gard-e-safar mein gum
phir aa rahi hai bang-e-dara jagte raho

baadal hawa ke dosh pe chhae hue to hain
shayad baras paDe ye ghaTa jagte raho

wo raat hai ki sae bhi aaseb ho gae
bujhne laga gali ka diya jagte raho

KHun-rang aasman hai raaten Daraoni
har ek samt shor macha jagte raho

chaaron taraf chamakne lagi saif-e-be-niyam
tara gira sahab kaTa jagte raho

'shahzad' lamhe lamhe mein pinhan hai zindagi
har ek marhala hai naya jagte raho