اردو हिंदी
Aate hi tu ne ghar ke phir jaane ki sunai | Shaahi Shayari
aate hi tu ne ghar ke phir jaane ki sunai

Ghazal

Aate hi tu ne ghar ke phir jaane ki sunai

Sheikh Ibrahim Zauq

;

aate hi tu ne ghar ke phir jaane ki sunai
rah jaun sun na kyunkar ye to buri sunai

majnun o kohkan ke sunte the yar qisse
jab tak kahani hum ne apni na thi sunai

shikwa kiya jo hum ne gali ka aaj us se
shikwe ke sath us ne ek aur bhi sunai

kuchh kah raha hai naseh kya jaane kya kahega
deta nahin mujhe to ai be-KHudi sunai

kahne na pae us se sari haqiqat ek din
aadhi kabhi sunai aadhi kabhi sunai

surat dikhae apni dekhen wo kis tarah se
aawaz bhi na hum ko jis ne kabhi sunai

qimat mein jins-e-dil ki manga jo 'zauq' bosa
kya kya na us ne hum ko khoTi-khari sunai