aate aate tarf mere muD ke phir kidhar chale
jaan-sahab! bin tumhaare kha ke gham hum mar chale
sajde de naghisniyan karte hain tum sunte nahin
jo na karni thi samajat wo bhi kar aksar chale
aadmi se but kahae ab KHudai ka hai azm
Tuk karo insaf apni had se tum bahar chale
dekh lewenge guzare ke tain ab aur ja
dekha bhaari pathar us ko chum sar se dhar chale
aashiqon ne nam tera le kiya qalib tahi
marte marte bhi to tera hi ye sab dam bhar chale
bazm mein tum khul rahe the baiThe dekh hum ko ruk gae
gar yun hi raazi ho lo ji uTh hum apne ghar chale
kis ke aae kis se rang-raliyan kiya pyar aur chah
ishq ki badnami pyare rakh ke mujh upar chale
KHizr ko shabash uktaya na ab tak aur hum
zindagani ek dam bhar ki bhi kar dubhar chale
aah-o-afghan to hamara kar raha hai zor-shor
jun bagula ya ho aandhi ya koi sarsar chale
dekhen kis ki aah ka us par asar ho 'azfari'
hum to bhar maqdur, kar kitna hi shor-o-shar chale
Ghazal
Aate aate tarf mere muD ke phir kidhar chale
Mirza Azfari