aatash o injimad hai mujh mein
kaisa kaisa tazad hai mujh mein
KHwab se pahle kuchh nahin yaksar
jo bhi hai us ke baad hai mujh mein
zaKHm khulte hain sans ghuTti hai
aisi bast-o-kushad hai mujh mein
ranj-e-dil hai hara bhara ab tak
koi to hai jo shad hai mujh mein
dushmani ka hi rah gaya sarokar
warna kis ka mafad hai mujh mein
koi is ka sabab nahin tu hi
ye jo itna fasad hai mujh mein
koi jalsa hai zor ka jaise
jis ka ye iniqad hai mujh mein
jise ab tak talash karta hun
gum-shuda ek yaad hai mujh mein
aandhiyan si jo chal rahi hain 'zafar'
surat-e-KHak-o-baad hai mujh mein
Ghazal
Aatash o injimad hai mujh mein
Zafar Iqbal