aatash-bajaan hain shiddat-e-soz-e-nihan se hum
is par bhi kaam lenge na aah-o-fughan se hum
dil par jo ban gai hai kahen kya zaban se hum
gir kar teri nazar se gire aasman se hum
anjam-e-justuju pe wahi aa gaya maqam
aaghaz-e-justuju mein chale the jahan se hum
dair-o-haram ko chhoD kar aae the hum yahan
jaen kahan ab uTh ke tere aastan se hum
mana ki tera gham hai gham-e-rahat-afrin
laen ada-shanas-alam dil kahan se hum
kis ko KHabar thi ishq mein kis ko KHayal tha
kaT jaenge talluq-e-kaun-o-makan se hum
ehsas-e-rang-o-bu pe bahaaron ka hai saman
manus hain shaguftagi-e-gul-ruKHan se hum
aazar-e-gham wafur-e-alam soz-e-na-tamam
KHush-baKHt-o-faiz-yab hain umr-e-rawan se hum
aisa ghire hain jada-o-manzil ke pher mein
khoe gae hain apne hi nam-o-nishan se hum
kaisi talash kis ki tamanna kahan ka shauq
uljhe hue hain lazzat-e-dard-e-nihan se hum
ag gumrahi jo rah dikhae to kuchh bane
manzil par aa ke dur hue karwan se hum
ho jaen un pe miT ke subuk-dosh ai 'rishi'
tang aa chuke hain zist ke bar-e-garan se hum
Ghazal
Aatash-bajaan hain shiddat-e-soz-e-nihan se hum
Rishi Patialvi