aata hai yahi ji mein fariyaad karun roun
rone hi se Tuk apna dil shad karun roun
kis waste baiTha hai chup itna tu ai hamdam
kya main hi koi nauha buniyaad karun roun
yun dil mein guzarta hai ja kar kisi sahra mein
KHatir ko Tuk ek gham se aazad karun roun
is waste furqat mein jita mujhe rakkha hai
yani main teri surat jab yaad karun roun
ai 'mushafi' aata hai ye dil mein ki ab main bhi
rone mein tujhe apna ustad karun roun
Ghazal
Aata hai yahi ji mein fariyaad karun roun
Mushafi Ghulam Hamdani