aata hai koi hath agar hat safar mein
kuchh aur bhaDak jate hain jazbaat safar mein
lahraata hai aankhon mein kisi yaad ka manzar
be-wajh bhi ho jati hai barsat safar mein
be-jism chala aata hun galiyon mein nagar ki
kaT jati hai mujh se hi meri zat safar mein
mujh ko hi uDani hai yahan KHak bhi apni
waise to hai ek bhiD mere sath safar mein
be-dard hawaen to badan chaT rahi hain
mausam bhi karega jo koi ghat safar mein
Ghazal
Aata hai koi hath agar hat safar mein
Syed Arif