aata hai kis andaz se Tuk naz to dekho
kis dhaj se qadam paDta hai andaz to dekho
taus-e-pari-jalwa ko Thukra ke chale hai
andaz-e-KHiram-e-but-e-tannaz to dekho
yak jumbish-e-lab us ki ne lakhon ko jalaya
isa ko ye qudrat thi tum eajaz to dekho
karta hun main duzdida-nazar gar kabhi us par
nazron mein parakh le hai nazar-baz to dekho
main kinga-e-arsh se par mar ke guzra
allah-re rasai meri parwaz to dekho
ai wae ki is sai par apni kabhi us se
sazish na hui tala-e-na-saz to dekho
kya bolne mein us but-e-kafir ki ada hai
shirin-suKHani ek taraf aawaz to dekho
abtar hai ye diwan to miyan-'mushafi' sara
anjam ki kya kahte ho aaghaz to dekho
Ghazal
Aata hai kis andaz se Tuk naz to dekho
Mushafi Ghulam Hamdani