اردو हिंदी
Aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai | Shaahi Shayari
aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai

Ghazal

Aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai

Meer Asar

;

aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai
marne ke baad bhi yahi aazar sath hai

anjam ho ba-KHair ilahi bure hain Dhang
har rozgar aise jafakar sath hai

gar sarf-e-dil mein chashma-e-KHun ho to KHushk ho
tufan ye hai ki dida-e-KHun-bar sath hai

dekhen bhala Tuk ek to jafa kije aur se
kya shaiKHi sari is hi gunahgar sath hai

ai shana zulf-e-yar se pechish na kijiyo
wabasta meri jaan har ek tar sath hai

jannat hai us baghair jahannam se bhi zubun
dozaKH bahisht haigi agar yar sath hai

mushkil hai taki hasti hai jawe KHudi ka shirk
tar-e-nafas nahin hai ye zunnar sath hai

hoti hai baat baat mein wo chashm KHashmagin
sohbat 'asar' hamein sada bimar sath hai