اردو हिंदी
Aasuda-e-mata-e-karam bolte nahin | Shaahi Shayari
aasuda-e-mata-e-karam bolte nahin

Ghazal

Aasuda-e-mata-e-karam bolte nahin

inaam Hanafi

;

aasuda-e-mata-e-karam bolte nahin
yani amin-e-daulat-e-gham bolte nahin

waraftagan-e-ijz ka aalam hai didani
sar hai dar-e-niyaz pe KHam bolte nahin

kyun bargah-e-naz mein tari hai KHamushi
kya sakinan-e-bagh-e-iram bolte nahin

shikwa-taraaz jabr-e-mohabbat hain bul-hawas
ahl-e-wafa KHuda ki qasam bolte nahin

kis din tha imtihan-e-wafa se mujhe gurez
kab Dagmagae mere qadam bolte nahin

hai sharh-e-karb-e-zist ka ashkon pe inhisar
lekin ye tarjuman-e-alam bolte nahin

'inam' zulm-o-jaur musalsal ke bawajud
hum hain fida-e-lazzat-e-gham bolte nahin