اردو हिंदी
Aasuda-e-mahfil abhi dam bhar na hua tha | Shaahi Shayari
aasuda-e-mahfil abhi dam bhar na hua tha

Ghazal

Aasuda-e-mahfil abhi dam bhar na hua tha

Zahiir Ahmad Taaj

;

aasuda-e-mahfil abhi dam bhar na hua tha
wo kaun sa tha war jo mujh par na hua tha

chashm-e-sitam-ijad ki wusat ke muqabil
ye tegh to kya charKH-e-sitamgar na hua tha

palkon hi pe taDpa wo mere soz-e-darun se
jo ashk abhi baDh ke samundar na hua tha

jab tak ki na dekhi thi nigahon ki karamat
main munharif-e-baada-o-saghar na hua tha

jab tak na tha shah-e-rag pe paDa saya-e-abru
main waqif-e-shirini-e-KHanjar na hua tha

kya jaanen nazar aaya hai kya rang-e-mohabbat
itna kabhi muztar dil-e-muztar na hua tha

ai 'taj' ajab josh uTha bahr-e-karam mein
ek harf-e-dua bhi to mukarrar na hua tha