aasuda dil mein uThne laga iztirab kya
is zindagi mein ho gaya shamil shitab kya
qasid ke hath apna ye paigham saunp kar
phir sochte raho ki ab aae jawab kya
us ka hai fazl zarra jo chamke ba-san-e-zar
hai warna kya ye mah bhi aur aaftab kya
hai nind se koi bhi talluq nahin mera
har dam ye chashm-e-wa mein ubharta hai KHwab kya
kya fath-yab ho saka hai koi tegh se
phir bhi hai darmiyan-e-mamalik zirab kya
hoga jo e'tibar tammul rahega kya
kaamil supurdagi ho to sharm-o-hijab kya
mumkin kahan ho hath mein 'naqid' tere quran
kafir bata hai samne tere kitab kya
Ghazal
Aasuda dil mein uThne laga iztirab kya
Aditya Pant u0027Naaqidu0027