aasmanon se zaminon pe jawab aaega
ek din raat Dhale yaum-e-hisab aaega
mutmain aise ki har gam yahi sochte hain
is safar mein koi sahra na sarab aaega
ye jawani to buDhape ki tarah guzregi
umr jab kaT chukunga to shabab aaega
kab meri aankhon mein KHun-rang kiran utregi
raat ki shaKH pe kab aks-e-gulab aaega
zard miTTi mein ghuli sabz tawanai 'najib'
ab zara aankh lagi hai to ye KHwab aaega

Ghazal
Aasmanon se zaminon pe jawab aaega
Najeeb Ahmad