aasmanon se na utrega sahifa koi
ai zamin DhunD le ab apna masiha koi
phir dar-e-dil pe kisi yaad ne dastak di hai
phir baha kar mujhe le jaega dariya koi
ye to mahfil na hui maqtal-e-ehsas hua
aaina de ke mujhe le gaya chehra koi
kitne viran hain yaadon ke dar-o-baam na puchh
bhul kar bhi idhar aaya na parinda koi
main is aaseb-zada shahr mein kis se puchhun
kyun mere pichhe laga rahta hai saya koi
mangta hai mere aamal ka har rose hisab
'kaif' jo mujh mein raha karta hai mujh sa koi

Ghazal
Aasmanon se na utrega sahifa koi
Indr Mohan Mehta Kaif