aasmanon sa khula-pan bhi mujhe chahiye hai 
panw thak jaen to maskan bhi mujhe chahiye hai 
dosto tum se umiden to bahut kuchh thin par ab 
ek maqul sa dushman bhi mujhe chahiye hai 
qabl-e-manzil kahin luT jaane ki hasrat hai bahut 
rahbar hi nahin rahzan bhi mujhe chahiye hai 
masale kam nahin waise hi sulajhne ke liye 
aur teri zulf ki uljhan bhi mujhe chahiye hai 
waqt ke sath badalti nahin tahrir-e-nihad 
titliyan dekhun to bachpan bhi mujhe chahiye hai 
ab to is shart pe chahun main tere husn ki aanch 
aag lag jae to sawan bhi mujhe chahiye hai
        Ghazal
Aasmanon sa khula-pan bhi mujhe chahiye hai
Izhar Varsi

