aasman-zad zaminon pe kahin nachte hain
hum wo paikar hain sar-e-arsh-e-barin nachte hain
apna ye jism thirakta hai bas apni dhun par
hum kabhi aur kisi dhun pe nahin nachte hain
apne rangon ko tamashe ka koi shauq nahin
mor jangal mein hi rahte hain wahin nachte hain
tan ke Dere mein hai jaan mast qalandar ki tarah
wahime thak ke jo rukte hain yaqin nachte hain
kab se ek KHwab hai aankhon mein ki tabir bhi hai
us mein gate hain makan aur makin nachte hain
Ghazal
Aasman-zad zaminon pe kahin nachte hain
Ahmad Sagheer Siddiqui