aasman tujh se kinara kahin karna hai mujhe
thak gaya uDte hue aaj utarna hai mujhe
apne zaKHmon ki hawa di hai kisi sahil ko
apne ashkon se samundar koi bharna hai mujhe
chand ki naw hui raat ke sailab mein gharq
phir se suraj ki kiran ban ke ubharna hai mujhe
yaad aata hai bikhar jaana meri hasti ka
aur us zulf ka kahna ki sanwarna hai mujhe
ab ye lagta hai ki main KHud mein simaT aaya hun
aa ke chhu le ki phir ek bar bikharna hai mujhe
Ghazal
Aasman tujhse kinara kahin karna hai mujhe
Shehzad Raza Lams