aasman tak jo nala pahuncha hai
dil ki gahraiyon se nikla hai
meri nazron mein hashr bhi kya hai
main ne un ka jalal dekha hai
jalwa-e-tur KHwab-e-musa hai
kis ne dekha hai kis ko dekha hai
hae anjam is safine ka
naKHuda ne jise Duboya hai
aah kya dil mein ab lahu bhi nahin
aaj ashkon ka rang phika hai
jab bhi aankhen milin un aankhon se
dil ne dil ka mizaj puchha hai
wo jawani ki thi harif-e-tarab
aaj barbaad-e-jam-o-sahba hai
kaun uTh kar chala muqabil se
jis taraf dekhiye andhera hai
phir meri aankh ho gai namnak
phir kisi ne mizaj puchha hai
sach to ye hai 'majaz' ki duniya
husn aur ishq ke siwa kya hai
Ghazal
Aasman tak jo nala pahuncha hai
Asrar-ul-Haq Majaz