aasman se sahife utarte rahe
raushni se magar log Darte rahe
zindagi itni majbur si ho gai
hadse mujh ko ashkon se bharte rahe
jin ko sab kuchh mila un ko sab kuchh mila
jo bikharte rahe bas bikharte rahe
ban gain jab bhi hamraaz tanhaiyan
dil ki har baat hum dil se karte rahe
aate jate nazar tujh se milti rahi
aaine zawiyon par ubharte rahe
chand yaaden khilin aur murjha gain
bas hawaon mein zarre bikharte rahe
aap aate rahe git gate rahe
ghar ke diwar-o-dar bhi sanwarte rahe
kuchh bhi TuTa nahin kuchh bhi bikhra nahin
hadse raston se guzarte rahe
kab kiya hum ne 'usha' kisi se gila
KHud mein jite rahe KHud mein marte rahe
Ghazal
Aasman se sahife utarte rahe
Usha Bhadoriya