aasman par kale baadal chha gae
ghar ke andar aaine dhundla gae
kya ghazab hai ek bhi koyal nahin
sab baghiche aam ke manjara gae
ghaTte baDhte faslon ke darmiyan
dafatan do raste bal kha gae
Dubta hai aa ke suraj un ke pas
wo dariche mere dil ko bha gae
shahr kya duniya badal kar dekh lo
phir kahoge hum to ab ukta gae
samne tha be-ruKHi ka aasman
is liye wapas zamin par aa gae
yaad aaya kuchh gira tha TuT kar
be-KHudi mein KHud se kal Takra gae
hurmat-e-lauh-o-qalam jati rahi
kis tarah ke log adab mein aa gae
hum hain mujrim aap mulzim bhi nahin
aap kis anjam se ghabra gae
ho gai hai shoala-zan har shaKH-e-gul
baDh rahe the hath jo tharra gae
dhans gae jo ruk gae the rah mein
dekhte the muD ke jo pathra gae
ghar ki tanhai jab aangan ho gai
ye sitare kya qayamat Dha gae
the muKHatab jism lahje be-shumar
jaan-balab arman 'KHalish' ghazla gae
Ghazal
Aasman par kale baadal chha gae
Badr-e-Alam Khalish