aasman par ek sitara sham se betab hai
meri aankhon mein tumhaara gham nahin hai KHwab hai
raat dariya aaine mein is tarah aaya ki main
ye samajh kar so gaya dariya nahin ek KHwab hai
kaamani surat mein bhi ek aarzu hai mahw-e-KHwab
sanwli rangat mein bhi ek wasl ka kam-KHwab hai
meri KHatir kuchh sunahri sanwli miTTi bhi thi
warna us ka jism sara raushni ka KHwab hai
aasman ek bistar-e-sanjab lagta hai mujhe
aur ye qaus-e-quzah jaise koi mehrab hai
kis ke istiqbaal ko uTThe the diwanon ke hath
kis ke matam ko yahan ye majma-e-ahbab hai
ya allahabad mein rahiye jahan sangam bhi ho
ya banaras mein jahan har ghaT par sailab hai
is nahang-e-tishna se zor-azma ho kar 'jamil'
bhul mat jaana ki aage bhi wahi girdab hai
Ghazal
Aasman par ek sitara sham se betab hai
Qamar Jameel