aasman par abr-pare ka safar mere liye
KHak par mahka hua chhoTa sa ghar mere liye
lafz ki chhagal jo chahke KHak-dan aabaad ho
wajd mein aane lagen sare shajar mere liye
dur tak uDte hue jugnu teri aawaz ke
dur tak reg-e-rawan par ek nagar mere liye
aashna nazron se dekhen raat bhar tare tujhe
ghurti aankhon ki ye basti magar mere liye
le gai hai sari KHushbu chhin kar ThanDi hawa
pattiyan bikhri paDi hain KHak par mere liye
band us ne kar liye the ghar ke darwaze agar
phir khula kyun rah gaya tha ek dar mere liye
KHak par bikhre hue qadmon-tale raunde hue
tohfatan lai hawa mere hi par mere liye
Ghazal
Aasman par abr-pare ka safar mere liye
Wazir Agha