aasman mil na saka dharti pe aaya na gaya
zindagi hum se koi Thaur banaya na gaya
aasman mujh se miyan hujre mein laya na gaya
shairi chhoD di mafhum churaya na gaya
naukri ki, likhi nazmen, sukun paya na gaya
shahr-e-dil tujh ko kisi taur basaya na gaya
ghar ki viraniyan ruswa huin bekar mein hi
mujh se bazar mein bhi waqt bitaya na gaya
josh mein Dha to di rishte ki imarat lekin
donon se aaj talak malba haTaya na gaya
KHun ke dagh na aa jaen mere lahje mein
is liye ghazlon ko aKHbar banaya na gaya
dikh na jae tu bichhaDti hui bas is Dar se
mujh se aankhon ko koi KHwab dikhaya na gaya
apna hissa bhi to manga hai zamin se main ne
aasman yun hi mere sar pe giraya na gaya
jo teri yaad ke panchhi na ruke kya hai ajab
umr bhar dil mein to tujh ko bhi biThaya na gaya
zat mazhab ki zaban nam usi ke to hain sab
KHud ko jis qaid se ta-umr chhuDaya na gaya
KHak dariya ke kinaron ko milaunga main
KHud ko hi aaj talak KHud se milaya na gaya
mera iman hua KHarch jise pane mein
kya ghazab hoga jo us shai ko bachaya na gaya
Ghazal
Aasman mil na saka dharti pe aaya na gaya
Imran Husain Azad