aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye
main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye
is bulandi KHauf se aazad ho us ne kaha
chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye
ab zamin kyun tere naqshe se nahin haTti nazar
rang kya koi bacha hai is mein bharne ke liye
ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye KHabar
yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye
kitna aasan lag raha hai mujh ko aage ka safar
chhoD aaya pichhe parchhain ko Darne ke liye
Ghazal
Aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye
Shahryar