aasman ko zamin banate hain
hum guman ko yaqin banate hain
ho jahan sakinan-e-shahr-e-wafa
aashiyan hum wahin banate hain
mahw-e-ghaflat hain ahl-e-duniya sab
aaKHirat ahl-e-din banate hain
wo to ahl-e-nazar bila-shak hai
hum jise ham-nashin banate hain
hum nagin-saz to nahin lekin
kankaron ko nagin banate hain
aql-o-ilm-o-hunar ke sanche mein
zindagi KHud hamin banate hain
qatilon aur be-imanon ko
apna hakim nahin banate
bughz-o-kina hasad ghurur-o-nifaq
aadmi ko lain banate hain
faslon aur sarhadon ki sada
dil ke rishte qarin banate hain
tum to 'arif' baDe hi ahmaq ho
ret ke ghar kahin banate hain
Ghazal
Aasman ko zamin banate hain
Syed Mohammad Askari Arif