aasman ki aankh suraj chand binai bhi hai
raushni mere liye kyun wajh-e-ruswai bhi hai
kis ko sine se lagaun main kise apna kahun
sail-e-rang-o-bu jise kahte hain tanhai bhi hai
maslahat andesha-e-gham ko zara kam kar gai
falsafa wo jhuT shamil jis mein danai bhi hai
zahr-aluda faza mein jab kali sone lagi
ashk-e-shabnam ne kaha gulshan mein purwai bhi hai
fikr jaise aaina-dar-aina raushan charagh
tirgi mere liye ehsas-e-ranai bhi hai
munkashif hote gae ham-surat-e-sang-e-wajud
zindagi husn-e-adam bhi kar-farmai bhi hai
sher kahne ka saliqa hai yahi ahmad-'zafar'
shairon ne baat samjhi bhi hai samjhai bhi hai
Ghazal
Aasman ki aankh suraj chand binai bhi hai
Ahmad Zafar