aasman ka sitara na mahtab hai
qalb-gah mein jo ek jins-e-nayab hai
aaina aaina tairta koi aks
aur har KHwab mein dusra KHwab hai
aur hai shama ke batan mein raushni
tere aaine mein aur hi aab hai
ye charagh aur hai wo sitara hai aur
aur aage jo ek hijr ka bab hai
aur phaili hui hai jo ek dhund si
aur aqab mein jo ek zina-e-KHwab hai
bas wo lamha jo tujh se ibarat hua
baqi jo chiz hai wo fana-yab hai
KHwab ne to raqam kar diya tha tujhe
hasil-e-shab yahi chashm-e-pur-ab hai
Ghazal
Aasman ka sitara na mahtab hai
Atiiqullah