aasman ishq ki azmat ke siwa bhi kuchh hai
kya ye sahra meri wahshat ke sawa bhi kuchh hai
mund lun aankh to be-kar hai sab rang-e-jahan
kya meri chashm-e-inayat ke siwa bhi kuchh hai
kuchh to hai jis ke batane se hun qasir lekin
ab tere dard mein lazzat ke siwa bhi kuchh hai
meri aaankhon se koi us ka sarapa dekhe
tab khulega ki qayamat ke siwa bhi kuchh hai
har talluq kisi qimat ka talab-gar nahin
dil ke saude mein tijarat ke siwa bhi kuchh hai
han wo ek lamha ki haq-goi pe gardan kaT jae
yani ta-umr ibaadat ke siwa bhi kuchh hai
husn sab husn-e-tabiat pe hai mauquf 'nadim'
ya kahin husn-e-tabiat ke siwa bhi kuchh hai
Ghazal
Aasman ishq ki azmat ke siwa bhi kuchh hai
Nadeem Fazli