اردو हिंदी
Aasman hai samundar pe chhaya hua | Shaahi Shayari
aasman hai samundar pe chhaya hua

Ghazal

Aasman hai samundar pe chhaya hua

Brijesh Ambar

;

aasman hai samundar pe chhaya hua
is liye rang pani ka nila hua

waqt naddi ki manind bahta hua
ek lamha magar kyun hai Thahra hua

tha koi to jo dahliz par dhar gaya
raat jalti hui din dahakta hua

gum-shuda shahr mein DhunDhta hun kise
ek ek shakl ko yaad karta hua

dhup-jangal mein phir kho gaya hai koi
chand taron ko aawaz deta hua

dhup aur lu bhari thin fazaen magar
us ki yaadon ka mausam tha bhiga hua

surat-e-haal ambar ajab chiz hai
us ne dariya kaha main kinara hua