aasman gardish mein tha sari zamin chakkar mein thi
zalzale ke qahr ki taswir har manzar mein thi
aapsi Takraw ne aaKHir numayan kar diya
ek chingari jo barson se dabi patthar mein thi
main akela mar raha tha ghar mera sunsan tha
raunaq-e-KHana rafiq-e-zindagi daftar mein thi
kar diya tha bewgi ke karb ne garche niDhaal
jalti-bujhti aanch si ek barf ki chadar mein thi
ek hi fiqre ne sara jism chhalni kar diya
dhaar aisi tanziya alfaz ke KHanjar mein thi
KHud-numai kam-libasi sab ne mil kar chhin li
qatilana ek ada jo husn ke tewar mein thi
rok leti jo parinde ko qafas mein ai 'atiq'
aarzu aisi na koi bhi dil-e-muztar mein thi
Ghazal
Aasman gardish mein tha sari zamin chakkar mein thi
Ateeq Muzaffarpuri