اردو हिंदी
Aasman-e-yas par khoya sitara DhunDhna | Shaahi Shayari
aasman-e-yas par khoya sitara DhunDhna

Ghazal

Aasman-e-yas par khoya sitara DhunDhna

Tanveer Anjum

;

aasman-e-yas par khoya sitara DhunDhna
hai dil-e-azurda ko chehra tumhaara DhunDhna

bahr-e-hasti se kahun ek pal zara ek pal Thahar
ek aahista qadam bas hai kinara DhunDhna

is gham-e-dauran ki tariki mein ai jaan-e-sahar
dil hamara kho gaya hai dil hamara DhunDhna

ajnabi chehron ke pichhe hai chhipi rah aatma
un nazaron se udhar hai ek nazara DhunDhna

ai shab-e-gham chhoD de daman-sara hai ab mujhe
nind se uThna wo KHwabida sharara DhunDhna

ruh par bhaari raha bar-e-hayat-e-sharmsar
karwan mein ab na tum hum ko dobara DhunDhna

rah-e-nau par gamzan ai shahsawar-e-tez-rau
barg-e-gor-e-kohna mein ek istiara DhunDhna

wo talluq tujh se hai dil ko ki ai marg-e-aziz
rah mein aankhen bichha tera ishaara DhunDhna