aashuftagi phir aaj mana le gai mujhe
ek bu-e-rah-guzar-e-bala le gai mujhe
jaana tha main ne main tere qadmon ki dhul hun
duniya samajh ke phul uTha le gai mujhe
chaaragaron ko meri hawa tak na mil saki
chupke se koi sham-e-bala le gai mujhe
tujh ko pukarna tha na dasht-e-talab mein dost
dur aur tujh se teri sada le gai mujhe
ab anjuman mein baiTha hun gum-sum kahun bhi kya
duzdida ek udasi chura le gai mujhe
rakhta bhi kaun pyase sawalon ki aabru
bas meri KHamushi hi nibha le gai mujhe
us mein kisi talab ka 'musawwir' na tha sawal
mai-KHane ek laghzish-e-pa le gai mujhe
Ghazal
Aashuftagi phir aaj mana le gai mujhe
Musavvir Sabzwari