aashnai hi sahi apni talab koi to ho 
is dayar-e-ghair mein bhi ham-nasab koi to ho 
shor ghar tak aa gaya hai kucha-o-bazar ka 
kuchh to aisa ho yahan pe mohr-e-lab koi to ho 
karb-e-tanhai liye aaKHir kahan tak jaiye 
hadisa hi ho agarche be-sabab koi to ho 
saz ke TuTe hue taron ko phir se joDiye 
naghma-e-KHush-rang ya soz-e-tarab koi to ho 
shaKH se TuTe hue patte bahut mayus hain 
ek chingari sahi un ka bhi ab koi to ho
        Ghazal
Aashnai hi sahi apni talab koi to ho
Khalid Jamal

