اردو हिंदी
Aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya | Shaahi Shayari
aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya

Ghazal

Aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya

Javed Shaheen

;

aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya
zindagi karne ko kya kuchh zindagani se kiya

mausam-e-gul mein kiya malbus banne ka amal
be-libasi ka amal barg-e-KHizani se kiya

kaun hai wo jis ne banjar KHushk KHitton ka ilaj
dekhte hi dekhte ek sada pani se kiya

subh ke jage masafat se thake dariya ne phir
sham hote hi talluq kam rawani se kiya

ye wahi tha kaise pahchana use muddat ke baad
main ye pal bhar mein usi ki ek nishani se kiya

rog thi 'shahin' zamin ki tangi-e-paiham mujhe
ye mudawa main ne bas naql-e-makani se kiya