aashna jo maza ka hota hai
apne haq mein wo kanTe bota hai
shaiKH-ji ek roz mujh ko 'asar'
lage kahne abas tu rota hai
in buton ke liye KHuda na kare
din-o-dil yun koi bhi khota hai
na tujhe din ko chain hai ek aan
ek dam raat ko na sota hai
main kaha KHub sun ke ai nadan
ja mashiKHat ko kyun Dubota hai
tu hai mullan teri bala jaane
aashiqi mein jo kuchh ki hota hai
Ghazal
Aashna jo maza ka hota hai
Meer Asar