aashna ho kar taghaful aashna kyun ho gae
ba-wafa the tum to aaKHir bewafa kyun ho gae
aur bhi rahte abhi kuchh din nazar ke samne
dekhte hi dekhte hum se KHafa kyun ho gae
in wafadari ke wadon ko ilahi kya hua
wo wafaen karne wale bewafa kyun ho gae
kis tarah dil se bhula baiThe hamari yaad ko
is tarah pardes ja kar bewafa kyun ho gae
tum to kahte the ki hum tujh ko na bhulenge kabhi
bhul kar hum ko taghaful aashna kyun ho gae
hum tumhaara dard-e-dil sun sun ke hanste the kabhi
aaj rote hain ki yun dard-ashna kyun ho gae
chand ke TukDe bhi nazron mein sama sakte nahin
kya bataen hum tere dar ke gada kyun ho gae
ye jawani ye ghaTaen ye hawaen ye bahaar
hazrat-e-'aKHtar' abhi se parsa kyun ho gae
Ghazal
Aashna ho kar taghaful aashna kyun ho gae
Akhtar Shirani