aashna gosh se us gul ke suKHan hai kis ka
kuchh zaban se kahe koi ye dahan hai kis ka
peshtar hashr se hoti hai qayamat barpa
jo chalan chalte hain KHush-qad ye chalan hai kis ka
dast-e-qudrat ne banaya hai tujhe ai mahbub
aisa Dhaala hua sanche mein badan hai kis ka
kis tarah tum se na mangen tumhin insaf karo
bosa lene ka saza-war dahan hai kis ka
shadi-e-marg se phula main samane ka nahin
gor kahte hain kise nam kafan hai kis ka
dahan-e-tang hai mauhum yaqin hai kis ko
kamar-e-yar hai madum ye zan hai kis ka
mufside jo ki hon us chashm-e-siyah se kam hain
fitna-pardazi jise kahte hain fan hai kis ka
ek aalam ko tere ishq mein sakta hoga
saf aaina se shaffaf badan hai kis ka
husn se dil to laga ishq ka bimar to ho
phir ye unnab-e-lab o seb-e-zaqan hai kis ka
gulshan-e-husn se behtar koi gulzar nahin
sumbul is tarah ka pur-pech-o-shikan hai kis ka
bagh-e-alam ka har ek gul hai KHuda ki qudrat
baghban kaun hai is ka ye chaman hai kis ka
KHak mein us ko milaun use barbaad karun
jaan kis ki hai meri jaan ye tan hai kis ka
sarw sa qad hai nahin madd-e-nazar ka mere
gul sa ruKH kis ka hai ghuncha sa dahan hai kis ka
kyun na be-saKHta bande hon dil-o-jaan se nisar
qudrat allah ki be-saKHta-pan hai kis ka
aaj hi chhuTe jo chhuTta ye KHaraba kal ho
hum gharibon ko hai kya gham ye watan hai kis ka
yar ko tum se mohabbat nahin ai 'atish'
KHat mein alqab ye phir mushfiq-e-man hai kis ka
Ghazal
Aashna gosh se us gul ke suKHan hai kis ka
Haidar Ali Aatish