اردو हिंदी
Aashna-e-dard tu ai KHugar-e-ishrat nahin | Shaahi Shayari
aashna-e-dard tu ai KHugar-e-ishrat nahin

Ghazal

Aashna-e-dard tu ai KHugar-e-ishrat nahin

Mohammad Wilayatullah

;

aashna-e-dard tu ai KHugar-e-ishrat nahin
lazzat-e-gham ke barabar dusri lazzat nahin

qadr-o-qimat dil ki hai jab tak hai is mein mauj-e-dard
jis mein rang-o-bu us gul ki kuchh waqat nahin

nala-e-shab-gir ho pur-josh ho tufan-e-ashk
abr-e-baran ki bhi is ke samne qimat nahin

lutf-e-dard-e-dil se to hai be-KHabar ai chaaragar
is jahan mein is se baDh kar dusri neamat nahin

ye jigar baqi hai gham ki mehmani ke liye
dil subuk-KHatir hai is mein KHun ki rangat nahin

dil diya hai jis ko waiz hai hamein us ki talash
hur-e-jannat se shanasai nahin ulfat nahin

daulat-e-duniya-e-dun sarchashma-e-afkar hai
baadshahi ko faqiri se koi nisbat nahin

zist mein meri kami thi ek gham-e-jaan-kah ki
mil gaya qismat se wo bhi ab koi hasrat nahin

ho gaya afsos 'hafiz' na-murad-e-arzu
DhunDhta hai aur kahin taskin ki surat nahin