aashiyane ki baat karte ho
dil jalane ki baat karte ho
band hai rah-e-nama-o-paigham
jaane aane ki baat karte ho
kyun chhiDakte ho zaKHm-e-dil pe namak
muskurane ki baat karte ho
ho gaya zaKHm-e-dil hara ek ek
gham bhulane ki baat karte ho
daulat-e-ghair munqasim hai ye
gham haTane ki baat karte ho
kuchh hamari batao apni suno
kya zamane ki baat karte ho
waza-dari KHulus sidq-o-safa
kis zamane ki baat karte ho
kahte hain sunte hi 'rashid' ka nam
kis diwane ki baat karte ho
Ghazal
Aashiyane ki baat karte ho
Rashid Shahjahanpuri