aashiyan apna bina diwar-o-dar hota nahin
be-murawwat kash ye tera shahar hota nahin
kyun pasheman ho ke tum ne dard-e-dil mujh ko diya
har gunah sangin aisa jaan kar hota nahin
aap ka tha sath to thi zindagi par kya kahen
ab safar aisa hai jis mein ham-safar hota nahin
hai ghazab Dhata ajab ye kar-o-bar-e-intizar
raat guzre tare gin, par din basar hota nahin
aae hain sunte ki aisa waqt bhi aata hai jab
ho dawa ya phir dua kuchh kargar hota nahin
duniya se laD jaiye aasan hai kahna huzur
dekhiye har shaKHs mein itna jigar hota nahin
Ghazal
Aashiyan apna bina diwar-o-dar hota nahin
Jatinder Vir Yakhmi u0027jayaveeru0027