aashiqi mein 'mir' jaise KHwab mat dekha karo
bawle ho jaoge mahtab mat dekha karo
jasta jasta paDh liya karna mazamin-e-wafa
par kitab-e-ishq ka har bab mat dekha karo
is tamashe mein ulaT jati hain aksar kashtiyan
Dubne walon ko zer-e-ab mat dekha karo
mai-kade mein kya takalluf mai-kashi mein kya hijab
bazm-e-saqi mein adab aadab mat dekha karo
hum se durweshon ke ghar aao to yaron ki tarah
har jagah KHas-KHana o barfab mat dekha karo
mange-tange ki qabaen der tak rahti nahin
yar logon ke laqab-alqab mat dekha karo
tishnagi mein lab bhigo lena bhi kafi hai 'faraaz'
jam mein sahba hai ya zahrab mat dekha karo
Ghazal
Aashiqi mein mir jaise KHwab mat dekha karo
Ahmad Faraz