aashiqi kya har bashar ka kaam hai
mere dil mere jigar ka kaam hai
ho hari shaKH-e-tamanna ya na ho
sinch dena chashm-e-tar ka kaam hai
baDh chale paik-e-tasawwur ka qadam
ab yahan kya nama-bar ka kaam hai
dil mera le jaane wala kaun tha
ye kisi jadu-nazar ka kaam hai
hum se kya ho wasf qatil ka bayan
ye lab-e-zaKHm-e-jigar ka kaam hai
maut jab aae to rahi jaan ho
is safar mein rahbar ka kaam hai
faisla hone mein dushwari hai kya
tere KHanjar mere sar ka kaam hai
aaj aansu tum ne ponchhe bhi to kya
ye to apna umr bhar ka kaam hai
gul dikhate hain hamein kya zaKHm-e-tan
dil pe khana koi charka kaam hai
dil se lae lab pe hum aah-o-fughan
ab tujhe lana asar ka kaam hai
dar-ba-dar phirte hi guzri charKH ko
ye usi bedad-gar ka kaam hai
aankhon aankhon mein uDa lete hain dil
dilrubai bhi nazar ka kaam hai
tegh kyun chalne mein bal khane lagi
ye teri nazuk kamar ka kaam hai
sine se kuchh haT ke hai dil ki jagah
is jagah tirchhi nazar ka kaam hai
be-chale hi panw dete hain jawab
manzil-e-ulfat mein sar ka kaam hai
qudsiyon se kaun bazi le gaya
ye bashar hai ye bashar ka kaam hai
motiyon se munh tera bharna 'jalil'
aasif-e-ali-guhar ka kaam hai
Ghazal
Aashiqi kya har bashar ka kaam hai
Jaleel Manikpuri