aashiqi jurat-e-izhaar tak aae to sahi
wo zara KHauf-e-jahan dil se miTae to sahi
kaise uThte hain qadam dekhiye manzil ki taraf
dil ke irshad pe sar koi jhukae to sahi
us ke qadmon mein rifaqat ke KHazane honge
meri jaanib wo qadam apne baDhae to sahi
jazba-e-josh-e-mohabbat tujhe sau bar salam
meri aahaT pe wo dahliz tak aae to sahi
har ghazal meri qasida hi sahi tera magar
tujh ko ashaar mein yun koi sajae to sahi
dastan honge KHud us ujDe hue shahar ke gham
is andhere mein koi shama jalae to sahi
KHud-baKHud rasta dega ye zamana 'talib'
dosti ke liye wo hath baDhae to sahi
Ghazal
Aashiqi jurat-e-izhaar tak aae to sahi
Ayaz Ahmad Talib