aashiq to bad-nasib hai is mein kalam kya
rakkha hai tu ne ye to bata apna nam kya
mashuq ki nigah mein ulfat ka kaam kya
badnam kar rahe ho mohabbat ka nam kya
sau bar aap kah chuke hum se na boliye
ye ho gaya hai aap ka takiya-kalam kya
roz-e-azal ke mast ko pine se kaam hai
us ki nazar mein hurmat-e-mah-e-siyam kya
huren balaen leti hain mashuq ki mere
paida na tha bahisht mein husn-e-tamam kya
wo KHud pilaen main na piyun meri kya majal
is mein sawal-e-subh hai kya zikr-e-sham kya
nazron mein sare tai hon mohabbat ke karobar
hum tum hain samne to payami ka kaam kya
guzri hai apni umr yunhi intizar mein
aaega 'shad' un ka koi ab payam kya
Ghazal
Aashiq to bad-nasib hai isMein kalam kya
Murli Dhar Shad