aashiq sa bad-nasib koi dusra na ho
mashuq KHud bhi chahe to us ka bhala na ho
hai muddaa-e-ishq hi duniya-e-muddaa
ye muddaa na ho to koi muddaa na ho
ibrat ka dars hai mujhe har surat-e-faqir
hota hai ye KHayal koi baadshah na ho
payan-e-kar maut hi aai ba-ru-e-kar
hum ko to wasl chahiye koi bahana ho
mere aziz mujh ko na chhoDenge qabr tak
ai jaan intizar na kar tu rawana ho
kabe ko ja raha hun nigah su-e-dair hai
hir-phir ke dekhta hun koi dekhta na ho
han ai 'hafiz' chheDta ja naghma-e-hayat
jab tak tera raubab-e-suKHan be-sada na ho
Ghazal
Aashiq sa bad-nasib koi dusra na ho
Hafeez Jalandhari