aashiq na agar wafa karega
phir aur kaho to kya karega
mat toDiyo dil sanam kisi ka
allah tera bhala karega
hai aalam-e-KHwab haal-e-duniya
dekhega jo chashm wa karega
jita na bachega koi zalim
aisi hi jo tu ada karega
kal ke to kai paDe hain zaKHmi
kya jaaniye aaj kya karega
aa jaega samne tu jis ke
dil kya hai ki ji fida karega
kya jaaniye kya karega tufan
gar ashk yunhi baha karega
'bedar' ye bait-e-dard ro ro
furqat mein teri paDha karega
apni aankhon mein tujh ko dekhun
aisa bhi kabhu KHuda karega
Ghazal
Aashiq na agar wafa karega
Meer Mohammadi Bedar