aashiq ko tere lakh koi rahnuma mile
tera pata mila hai na tera pata mile
tum mujh se aa mile kabhi dushman se ja mile
jab ye mizaj hai to koi tum se kya mile
baad-e-fana bhi KHair se tanha nahin hain hum
bandon se chhuT gae to farishton mein aa mile
jab dair mein ye dekha ki apna guzar nahin
kabe ke jaane walon mein majbur ja mile
dekho 'rasa' chale to ho tum tauba toDne
dar par na mai-kade ke koi parsa mile

Ghazal
Aashiq ko tere lakh koi rahnuma mile
Rasa Rampuri