aashiq ki jaan jati hai is bankpan ko chhoD
ai but KHuda ke waste apne chalan ko chhoD
bulbul na rahm aaega sayyaad ko kabhi
hai jaan agar aziz to tu is chaman ko chhoD
us ka yahi tariq raha aashiqon ke sath
ai dil bas ab shikayat-e-charKH-e-kuhan ko chhoD
sahra ki samt panw baDhe jate hain dil aa
wahshat pukarti hai ki hubbulwatan ko chhoD
basne ko chal tu dasht-e-KHizan-dida mein 'shabab'
gulzar mein bahaar-e-gul-o-nastaran ko chhoD
Ghazal
Aashiq ki jaan jati hai is bankpan ko chhoD
Shabab