aashiq ka jahan mein ghar na dekha
aisa koi dar-ba-dar na dekha
jaisa ki uDe hai tair-e-dil
aisa koi tez-par na dekha
KHuban-e-jahan hon jis se tasKHir
aisa koi hum hunar na dekha
TuTe dil ko bana dikhawe
aisa koi kari-gar na dekha
us tegh-e-nigah se ho muqabil
aisa koi be-jigar na dekha
jari hain hamesha chashma-e-chashm
aisa koi abr-e-tar na dekha
jo aab hai aabru mein 'hatim'
aisa koi hum guhar na dekha

Ghazal
Aashiq ka jahan mein ghar na dekha
Shaikh Zahuruddin Hatim