aashiq hun main nafrat hai mere rang ko ru se
paiwand nahin chaak gareban ko rafu se
daman mere qatil ka na rangin ho lahu se
har-chand ki nazdik ho rag-ha-e-gulu se
gulzar-e-jahan par na paDi aankh hamari
kotah thi umr apni habab-e-lab-e-ju se
karta hai wo saffak KHat-e-shauq ke purze
mehndi mali jati hai kabutar ke lahu se
aashiq hun magar karte hain mashuq KHushamad
nazuk hai tabiat meri bimar ki KHu se

Ghazal
Aashiq hun main nafrat hai mere rang ko ru se
Haidar Ali Aatish